Khaamosh si hawayein
behte hue kya geet gaaye
Har din kya kahani
bayan karta hai
hum kabhi jaan na paye...
Udte chamakte ye jugnu
duniya ko roshni kyun de na paye
Sagar ki ye lehre
kya sunana chahe
hum kabhi jaan na paye...
Raste chalte logon
ke chehro pe muskaan hai hoti
Par muskaano ke peeche
kitne dard hai chupe
Ye hum kabhi jaan na paye...
Duniya jin raho par chale
un raho ko hum jaane na paye
Jin cheezo ke peeche ye daude
unka matlab bhi samjha na aaye...
Jaane fir kyun ye dil chahe
ki duniya use samjhe
Jab khud hi ye khud ko
kabhi samajh na paye...